Saturday 22 December 2012

Aap kay chacha jaan nay aap ki saalgirah pur aapko aik ghardee tuhfay main dee. Khat likh kar un ka shukriya adaa karain.



I miss O'level urdu classes. And I miss eleventh grade.



Kamra-e-Imtihan,
Dawood Public School, Karachi.

10- February-2011.

Muhtaram Chacha jaan, Asalam Alaikum.

Umeed hai aap aur aapkay ghar walay yaani meray rishaty daar khairiay say hongay. Aap meri saalgirah per aye mujhay bohat khushi hui. Aapka tohfa bhee bohat pasand aya.
Pehlay tou mainay socha nahen kholun kyun kay uska dabba bohat khubsuurat tha, laikin phir socha khol lun, aur jab mainay khola tou usmain say aik ghardi niklee. Mainay phir usay band kar kay rakh diya. Aap kay tohfay ka bohat bohat bohat bohat bohat shukriya.
Iss saalgirah par meray paas 86 ghardiyan jamaa hogayen hain. Laikin mai sirf aapki waali pehen kay phirtee hun. Kyunkay woh mujhay bohat achee lagti hai.
Aap mujhay meri aanay waali saalgirah par bhee ghardi hee dejiye ga. Aur mai woh bhee pehen kar phiruungi.
Shukriya.

faqat, aapki bhateeji.

Zubairi the Berry. 

2 comments:

  1. Ahahaha good one! This deserves an A*. What did CIE award you with in Urdu btw!? ;p

    ReplyDelete